Sunday, August 8, 2010

Zindagi Aur Bata Tera Irada Kya Hai?

Zindagi Aur Bata Tera Irada Kya Hai?




Ek Hasrat thi k Aanchal ka Mujhe Pyar mile

Mai ne Manzil ko Talasha, Mujhe Bazaar mile

Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?



Jo b Taqdeer banata hoon, Bigar jaati hai

Dekhte Dekhte Dunya hi Ujar jaati hai

Meri Kashti, Tera Toofaan se Wada kya hai

Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?



Tu ne jo Dard dya, uski Qasam khata hoon

Itna zyaada hai ke, Ehsaas daba jata hoon

Meri Taqdeer bata, Aur Takaaza kya hai?

Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?



Mai ne Jazbaat k Sang khelte Daulat dekhi

Apni Aankhon se Mohabbat ki Tijaarat dekhi

Aisi Dunya mai Mere waaste rakha kya hai?

Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?



Aadmi chahe to Taqdeer badal sakta hai

Poori Dunya ki wo Tasveer badal sakta hai

Aadmi soch to le, uska Iraada kya hai?

Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?



Ek Hasrat thi k Aanchal ka Mujhe Pyaar mile

Mai ne Manzil ko Talasha, Mujhe Bazaar mile

Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?

Rajesh Bhigasra

No comments: